Forex sessions aur killzones: gold asal mein kab chalta hai

Wohi setup Pakistan ke subah 4 baje aur London–New York overlap mein alag chalta hai. Waqt bhi trade ka hissa hai.

Start here · lesson 4 (5 mein se)Rao Umer

Chapter 1 (6 mein se)

Char sessions

ReplayAsia range, London sweep
XAUUSD · Asia range, London sweep, chart by Rao Umer, RTC

Play dabayein aur chart ko candle by candle bante dekhein.

Seedhi baat

Gold saara din ek jaisa nahi chalta. Asian session mein quiet, London khulne par jaagta hai, aur New York aane par sab se zyada chalta hai. Killzones woh chand ghante hain jin mein bare move aam tor par hote hain.

Forex market hafte ke dinon mein 24 ghante chalti hai: Sydney → Tokyo → London → New York. Har session ka apna style hai.

  • Asia (Sydney aur Tokyo): aam tor par quiet, aksar range banata hai.
  • London: volume aata hai, Asian range aksar sweep hoti hai.
  • New York: US data aur London overlap gold aur USD pairs mein sab se bare move laate hain.

Aur seekhein

Pro notesExperienced traders ke liye · 4 tips
  1. London aksar Asia range ki ek taraf le kar din ka high ya low bana deta hai.
  2. New York AM ya London ka move jaari rakhta hai ya London ka high ya low le kar usay palat deta hai.
  3. Silver Bullet ka ghanta (New York 10 se 11 AM) aksar sweep ke baad ek saaf FVG entry deta hai.
  4. Bari news ke din killzone release ke waqt par chala jata hai. Calendar ke hisaab se plan karein.

Sirf taleem ke liye. Financial advice nahi. Chart examples samjhane ke liye hain, asli trades nahi.

Chat with RTC Team